SONG: Karwat Wo Zamane Ne Badli - करवट वो जमाने ने बदली

Karwat Wo Zamane Ne Badli - करवट वो जमाने ने बदली

LYRICS:
karwat wo jamane ne badli na idhar ke rahe na udhar ke rahe gum marne ka nahi na jine ki khushi na idhar ke rahe na udhar ke rahe karwat wo jamane ne badli jis bag ko sicha tha hamne pal bhar me fiza ne lut liya haye lut liya mitti me jawani milti rahi na idhar ke rahe na udhar ke rahe karwat wo jamane ne badli jis phul ko samjhe phul the hum afsos wahi kata nikla kata nikla khilne hi na payi dil ki kashi na idhar ke rahe na udhar ke rahe karwat wo jamane ne badli barbad hona likha tha duniya me jo hum barbad hue barbad hue takdir ke aage kuch na chali na idhar ke rahe na udhar ke rahe karwat wo jamane ne badli