SONG: Karvaan Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe - कारवाँ गुज़र गया, गुबार देखते रहे

Karvaan Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe - कारवाँ गुज़र गया, गुबार देखते रहे

LYRICS:
sapan jhare phul se, mit chubhe shul se lut gaye singaar sabhi, baag ke babul se aur ham khade-khade, bahaar dekhte rahe kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe nind bhi khuli na thi ki haay dhup dhal gai paanv jab talak uthe ke zindagi phisal gai paat-paat jhar gae ke shaakh-shaakh jal gai chaah to niakl saki na par umar nikal gai par umar nikal gai git ashq ban gae, sapan ho dafan gae saath ke sabhi deeye, dhuaan pahan-pahan gae aur ham jhuke-jhuke, mod par ruke-ruke umr ke chadhaav kaa utaar dekhte rahe kyaa shabaab thaa ke phul phul pyaar kar uthaa kyaa kamaal thaa ke dekh ke aainaa sihar uthaa is taraf zami aur aasmaa udhar uthaa thamkar jigar uthaa ke jo milaa nazaar uthaa ke jo milaa nazaar uthaa ek din magar yahaan aisi kuchh havaa chali lut gai kali kali ke ghut gai gali gali aur ham lute-lute, vakt se pite-pite saaz ki sharaab kaa kumaar dekhte rahe kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe haath the mile ke zulf chaand ki sanvaar dun hoth the khule ke har bahaar ko pukaar dun dard thaa diya gayaa ke har dukhi ko pyaar dun aur saans yun ke svarg bhumi par utaar dun bhumi par utaar dun ho sakaa na kuchh magar, shaam ban gai sahar vo uthi lahar ke dhah gae kile bikhar bikhar aur ham dare dare nir nain me bhare odh kar kafan pade mazaar dekhte rahe maang bhar chali ke ek jab nai nai kiran dhol ke dhunak uthi dhumak uthe charan charan shor mach gayaa ke lo chali dulhan chali dulhan gaanv sab umad padaa, bahak uthe nayan nayan bahak uthe nayan nayan par tabhi zahar bhari gaaj ek vah giri puchh gayaa sindur taar taar hui chunari aur ham ajaan se, dur ke makaan se paalki lie hue kahaar dekhte rahe kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe sapan jhare phul se, mit chubhe shul se lut gaye singaar sabhi, baag ke babul se aur ham khade-khade, bahaar dekhte rahe kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe kaarvaa guzar gayaa, gubaar dekhte rahe