SONG: Karta Hai Ek Ravi Dilsoj Ye Baya - करता है एक रावी ये दिलसोज ये बयां

Karta Hai Ek Ravi Dilsoj Ye Baya - करता है एक रावी ये दिलसोज ये बयां

LYRICS:
karta hai ek raavi ye dilsoj ye baya ramjan ke mahine ki mashur dasta mulke yaman me ladka tha ek aath saal ka charcha tha shahar shahar me jiske jamal ka roza khuda ke naam pe rakhne ka shok tha ramjan ka jo chand najar usko aa gaya kahne laga ye maa se ke roza rakhunga mai mujhko jagana rat ko sehri karunga mai bache ki baat ka na kiya maa ne kuch khyal ladka jo subah utha to usko hua malal samjhaya maa ne aye mere dilbar na kar malal roza nahi hai farz abhi tujhpe mere lal masum dil pe thes lagi maa se yu kaha ammi suno ye kehta hai kuran me khuda roze ki bukh pyas ka jo gum uthayega us rozadar ko na jahanam jalayega kuran ka nujum is maah me hua tauba kabul karta hai is maah me khuda alkisha rat aayi to wo jagta raha kehna kisi ka kuch na suna roza rakh liya sehri wo karke soya or so ke jab utha bete ka matha chum ke father ne ye kaha roza na rakh sakega tu jid apni chhod de de dungi apna roza tujhe roza tod de ladka ye bola khana mai hargiz na khaunga apne khudaye pak ko kya muh dikhaunga dopahar dhalke hasar ka jab waqt aa gaya pani begair pyas se khushk ho gaya gala sine me sans ruk gayi chakkar sa aa gaya kamsim tha najanin chakra ke gir pada harkat jo dil ki band hui aankh jhuk gayi nabje idhar ruki to udar saans ruk gayi maa ne kaha pukar ke masum chal diya awtar ki khushi se mahrum chal diya maa bap lash dekhte the apne lal ki mayyat padi thi samne ek aath sal ki aakhir to roza kholne ka waqt aa gaya dono ne gum me bete ke khaya na kuch piya naagaah dar pe aake sawali ne di sada sahil ki shakal me tha farishta khada hua aawaz di ke le lo fakiro ki tum dua mai bhi hu rozadar do allah ke nam ka jis dam suni fakir ki dono ne ye sada awtar ko jo rakha tha sahil ko de diya sahil ne bikh leke kaha majra hai kya matam hai ghar me kaisa ye mujhko bhi do bata sahil ko apne sath fidar ghar me le gaya hardang ke janaje ko la kar dikha diya bache ki lash dekh ke sahil ne kuch pada sine pe hath rakh ke ye murde ko di sada aye nanhe rozadar tu ab roza khol de gum geen maa khadi hai jara maa se bol le jumbish labo pe hone lagi aankh khol di bache ko jinda dekh kar mothar lipat gayi sahil ye kahke aankho se ruh tosh ho gaya bejha hua mai aaya tha parwardigar ka tha imtiha ka waqt musibat ki ye ghadi jo uspe jan dete hai marte nahi kabhi marte nahi kabhi