SONG: Karke Badnam Meri Neende Haraam - करके बदनाम मेरी नींदें हराम

Karke Badnam Meri Neende Haraam - करके बदनाम मेरी नींदें हराम

LYRICS:
chhed yu karti hai duniya tere naam ke sath jal ke leti hai mera naam tere naam ke sath kar ke badnam meri ninde haram kaha chala gaya, tu kaha chala gaya kar ke badnam meri ninde haram kaha chala gaya, tu kaha chala gaya karne ko bate karu tujhse khayalo me phir bhi naa mane dil toh kya karu kab tak bhigoya karu ashko se palke kab tak judayi me aahen bharu jab se huyi sham mujhe rone se kaam kaha chala gaya, tu kaha chala gaya kar ke badnam meri ninde haram kaha chala gaya, tu kaha chala gaya bhatke najar meri ban me chaman me chain mai dil kaa kahi bhi pau naa dil me bhadak chale shole judayi ke haay inhi me kahi jal jau naa ho naa badnam kahi tera hi naam kaha chala gaya, tu kaha chala gaya kar ke badnam meri ninde haram kaha chala gaya, tu kaha chala gaya