SONG: Kar Lijiye Chal Kar Meri Jannat Ke Najare - कर लीजिये चलकर मेरी जन्नत के नज़ारे

Kar Lijiye Chal Kar Meri Jannat Ke Najare - कर लीजिये चलकर मेरी जन्नत के नज़ारे

LYRICS:
kar lijiye chalkar meri jannat ke nazare jannat ye banai hai mohabbat ke sahare phulo se liya rang sitaro se ujala har chiz ko noor ke ek sache me hai dhala is khwab ki basti ka falak hai na jami hai is husn ki dunia ki har ek chiz hasi hai roshan hai fiza aur nahi chand sitare jannat ye banai hai mohabbat ke sahare gati hai khushi nagme to hasta hai waha gum kaliyo ki hasi dekh ke roti nahi sabnam fitrat ki jaba par kahi masti ka fasana cheda hai khamoshi ne bhi kurkaif tarana kuch soye to kuch jage hue mast nazare jannat ye banai hai mohabbat ke sahare atahkheliya karti hui chalti hai hawaye nagmo ki hai barsat to julfo ki ghataye rangin hui aur bhi jannat ki kahani wo dekhiye wo dekhiye jhule pe ruhi ki jawani betab kiye dete masum ishare masum ishare