SONG: Kaliyo Jaisa Rang Shagufta - कलियों जैसा रंग शगुफ्ता

Kaliyo Jaisa Rang Shagufta - कलियों जैसा रंग शगुफ्ता

LYRICS:
kaliyo jaisa rang shagufta phulo jaisi kaya hai ninde ud gayi sab logo ki jab se wo shehar mein aaya hai kaliyo jaisa rang shagufta uske chehre ki narmi se phul javani mange uski roshan aankho se rate bhi kahani mange chalane ka andaj hai wo mauje bhi rawani mange sab ki aankho mein wo rangin sapna bankar chhaya hai ninde ud gayi sab logo ki jab se wo shehar mein aaya hai kaliyo jaisa rang shagufta logo ka to kam hai ye, sholo ko hawa dete hai chhoti chhoti bato ka afsana bana dete hai wo jis raste se bhi gujare, usko sada dete hai wo ghar se kam hi nikale, ye hamne use samjhaya hai ninde ud gayi sab logo ki jab se wo shehar mein aaya hai kaliyo jaisa rang shagufta mere hatho mein hai jaise uske hatho ki khushbu meri tanhayi mein jaise uski bato ki khushbu mere shero mein hai jaise uski sanso ki khushbu uske liye hai ghajale najame shair jisne banaya hai ninde ud gayi sab logo ki jab se wo shehar mein aaya hai jab se wo shehar mein aaya hai kaliyo jaisa rang shagufta, phulo jaisi kaya hai ninde udd gayi sab logon ki jab se wo shehar mein aaya hai kaliyo jaisa rang shagufta