SONG: Kahte Hai Chand Jisko, Tumse Nahi Vo Pyara - कहते है चाँद जिसको, तुमसे नहीं वो प्यारा

Kahte Hai Chand Jisko, Tumse Nahi Vo Pyara - कहते है चाँद जिसको, तुमसे नहीं वो प्यारा

LYRICS:
kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara dekhe use ye duniya, mujhko nahin gawara kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara dekhe use ye duniya, mujhko nahin gawara nazrein jo tum uthaao, har chiz muskuraye palkein jo tum jhukaao, taaron ko nind aaye nazrein jo tum uthaao, har chiz muskuraye palkein jo tum jhukaao, taaron ko nind aaye duniya bhi saath dole, dhadke jo dil tumhaara kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara ek baat tumse puchhu, tum kaun ho hamaare dil mein samaa rahe ho, hum kaun hain tumhaare ek baat tumse puchhu, tum kaun ho hamaare dil mein samaa rahe ho, hum kaun hain tumhaare kar do na muskuraake, halka saa ik ishaara kehthe hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara saathi agar hasin ho, kya baat phir safar ki manzil udhar ko aayi, tumne jidhar nazar ki saathi agar hasin ho, kya baat phir safar ki manzil udhar ko aayi, tumne jidhar nazar ki dil jab bhi dagmagaya, tum ban gaye sahara kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara kehte hain chaand jisko, tumse nahin wo pyara dekhe use ye duniya, mujhko nahin gawara mujhko nahin gawara