SONG: Kaanton Pe Chal Ke, Kahin Se Maut Ko Laao (Ke Gham Ki Raat Kate) - काँटों पे चल के, कहीं से मौत को लाओ

Kaanton Pe Chal Ke, Kahin Se Maut Ko Laao (Ke Gham Ki Raat Kate) - काँटों पे चल के, कहीं से मौत को लाओ

LYRICS:
kanto pe chal ke panv ke chhalo se kya gila mangi thi khud hi rat ujalo se kya gila kahi se maut ko lao ke gam ki rat kate kahi se maut ko lao ke gam ki rat kate mera hi sog manao ke gam ki rat kate kahi se maut ko lao ke gam ki rat kate kare na pichha mera zindagi ko samjha do kare na pichha mera zindagi ko samjha do zindagi ko samjha do ye rah usko bhula do ke gam ki rat kate kahi se maut ko lao ke gam ki rat kate kaho baharo se ab shakh-e-dil na hogi hari kaho baharo se ab shakh-e-dil na hogi hari shakh-e-dil na hogi hari khiza ke git sunaao ke gam ki rat kate kahi se maut ko lao ke gam ki rat kate na charagar ki zarurat na kuchh dava ki hai na charagar ki zarurat na kuchh dava ki hai na kuchh dava ki hai dua ko hath uthao ke gam ki rat kate kahi se maut ko lao ke gam ki rat kate