SONG: Jyoti Kalash Chhalake Jyoti Kalash Chhalake - ज्योति कलश छलके ज्योति कलश छलके

Jyoti Kalash Chhalake Jyoti Kalash Chhalake - ज्योति कलश छलके ज्योति कलश छलके

LYRICS:
jyoti kalash chhalke, jyoti kalash chhalke jyoti kalash chhalke, jyoti kalash chhalke huye gulabi, lal sunhare rang dal badal ke jyoti kalash chhalke ghar aangana van upavan upavan karti jyoti amrit ke sinchna mangal ghat dhal ke, mangal ghat dhal ke jyoti kalash chhalake paat paat birava hariyala dharti ka mukh hua ujala sach sapne kal ke, sach sapne kal ke jyoti kalash chhalake usha ne aanchal phailaya faili sukh ki shital chhaaya niche aanchal ke, niche aanchal ke jyoti kalash chhalake jyoti yashoda dharti maiyya nila gagan gopal kanhaiyya shyamal chhavi jhalke, shyamal chhavi jhalke jyoti kalash chhalake ambar kum kum kan barsaye phul pankhudiyo par muskaye bindu tuhi jal ke, bindu tuhi jal ke jyoti kalash chhalake