Jay Ho, Vikramaaditya Ki Jay Ho - जय हो, जय हो
LYRICS:
jay ho jay ho
vikramaaditya ki jay ho
jay jay se gunj utha bharat
vikramaaditya ki jay ho
par-dukh-bhajan ki jay ho
apane baahubal se jisane vijay shatru par paai
paraadhin bhaarat ko jisane swatantrta dilawai
vikramaaditya ki jay ho
battis putali ke sihaasan par jisane sachchaa nyaay kiyaa
navaratno ko ekatrit kar saahitya kala ka daan diya
chandaa suraj me tej rahe
jab tak pr^ithvi aabaad rahe
tab tak har bhaarat vaasi ke
dil me ye savath yaad rahe
ye vikram-savath yaad rahe
vikramaaditya ki jay ho