SONG: Jata Hu Main Mujhe Ab Na Bulana - जाता हूँ मैं मुझे अब ना बुलाना

Jata Hu Main Mujhe Ab Na Bulana - जाता हूँ मैं मुझे अब ना बुलाना

LYRICS:
jata hu mai mujhe ab na bulana meri yaad bhi apne dil me na lana mera hai kya meri manzil na koi thikana jata hu mai pyasa tha bachpan jawani bhi meri pyasi pichhe gamo ki gali aage udasi pyasa tha bachpan jawani bhi meri pyasi pichhe gamo ki gali aage udasi ho mai tanhayi ka rahi, koi apna na begana mujhe ab na bulana meri yaad bhi apne dil me na lana mera hai kya meri manzil na koi thikana jata hu mai mujhko hansi bhi mili saye liye dukh ke khul ke na roya kisi kandhe pe jhuk ke mujhko hansi bhi mili saye liye dukh ke khul ke na roya kisi kandhe pe jhuk ke ho mera jiwan bhi kya hai, adhura sa ik afasana mujhe ab na bulana meri yaad bhi apne dil me na lana mera hai kya meri manzil na koi thikana jata hu mai tha pyar ka ik diya wo bhi bujha dala dhundhala sa bhi kahi kyu ho ujala tha pyar ka ik diya wo bhi bujha dala dhundhala sa bhi kahi kyu ho ujala ho ab un yaado se kah do, meri duniya me na aana mujhe ab na bulana meri yaad bhi apne dil me na lana mera hai kya meri manzil na koi thikana