SONG: Jao Ladli Pati Ke Ghar - जाओ लाडली पति के घर

Jao Ladli Pati Ke Ghar - जाओ लाडली पति के घर

LYRICS:
aao bitiya aaj tumhe ham bhi kuchh sikh sikhaye ham van wasi fir bhi tumhe sansari reet bataye chhod pita ka ghar jab tum apane pati ke ghar jaao gurujan maan bade budho ki sewa me samay bitao ghar me jo sevak naukar chakar sneh se sabko bulao bhagy fale saubhagy mile to kuchh bhi na garv dikhao jo ghar me is reet chale wo sad grihadi pad paye jo iske vipreet chale wo kul ko kalank lagaye jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho jaao laadli ashish deta hriday hamara mangalmay ho marg tumhara path me mile tumhe taal talaiya sukhdai shital chhaiya jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho jaao laadli dukh me sukh ka, sukh me dukh ka dukh me sukh ka, sukh me dukh ka kaisa khel dikhane lagi aai thi tum ek hansi ban aansu ban ab jaane lagi jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho jaao laadli ye vighna ye kaisi ghadi hain ye vighna ye kaisi ghadi hain dhiraj dharm dagmagane laga aaj budhapa age badhkar yovan ko raah dikhane laga jaao daadli pal pal hansane wali o bitiya pal pal hansane wali o bitiya jaate huye yu rula na dena fulo falo tum us ghar me jaake yaad hamari bhula na dena jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho jaao laadli, pati ke ghar tum sukhi raho jaao laadli