SONG: Jane Valo Jara Mud Ke Dekho Mujhe - जाने वालों ज़रा मुड़ के देखो मुझे

Jane Valo Jara Mud Ke Dekho Mujhe - जाने वालों ज़रा मुड़ के देखो मुझे

LYRICS:
janey valo jara, mud ke dekho mujhe ek insan hu mai tumhari tarah jisne sabko racha, apne hi rup sey usaki pahchan hu mai tumhari tarah janey valo jara iss anokhe jagat ki mai takdir hu mai vidhata ke hatho ki tasvir hu, ek tasvir hu iss jahan ke liye, dharati man ke liye shiv kaa varadan hu, mai tumhari tarah janey valo jara mann ke andar chhipaye milan ki lagan apne suraj sey hu ek bichhadi kiran, ek bichhadi kiran phir raha hu bhatakata, mai yaha sey vaha aur pareshan hu, mai tumhari tarah janey valo jara mere pas aao chhodo yah sara bharam jo mera dukh vahi hai tumhara bhi ghum, hai tumhara bhi ghum dekhata hu tumhe janata hu tumhe lakh anjan hu mai tumhari tarah janey valo jara