SONG: Jamin Ka Phul Ho Ya Hur Aasman Kee Ho - जमीन का फूल या हर आसमान की हो

Jamin Ka Phul Ho Ya Hur Aasman Kee Ho - जमीन का फूल या हर आसमान की हो

LYRICS:
koi kisi ko kyo achha lagta hai koi kisi ko dekh kar kyo apne hosh kho deta hai kisi ki hairan aankhe ek hasin chehre ko dekhti hai aur dil mein anginat masum sawal karwate badalne lagte hai jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho ye jism git hai khushbu hai ya hai dip jala ye julf rat hai badal hai ya hai koi bala ye aankhe jadu hai jhile hai ya ke paimana ye chehra khwab hai sach hai ya koi afasana wo desh kitna hasin hoga tum jaha ki ho main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho jamin ka phul ho tumhare liye main shishe khankte hai jaise tumhare chhune se paththar pighalte hai jaise kiran si phutti hai tum jo muskurati ho najare gate hai tum jo najar uthati ho yaha ki ho ya kisi aur kehkasha ki ho main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho main sochata hu ke tum kaun ho kaha ki ho jamin ka phul ho ya hur aasman ki ho