SONG: Jaha Me Aayee Deewali Bade Charaagh Jale - जहाँ में आयी दीवाली बड़े चराग़ जले

Jaha Me Aayee Deewali Bade Charaagh Jale - जहाँ में आयी दीवाली बड़े चराग़ जले

LYRICS:
jaha me aayi diwali bade charaag jale hamare dil me magar tere gham ke daag jale jaha me aayi diwali bade charaag jale hamare dil me magar tere gham ke daag jale kadam kadam pe charaago ka aaj mela hai bujha huwa mere dil ka diya akela hai kabhi na aise kisi ki khushi ka baag jale hamare dil me magar tere gham ke daag jale ajib rang liye abb ke aayi diwali ajib rang liye abb ke aayi diwali kisi ne ghar ko jala ke manaayi diwali udhar charaag idhar dil kaa daag daag jale jamin pe utra huwa kaafila sitaaro ka dilaaye yaad sama pyaar ki bahaaro ka jo tum nahi ho toh kaise mera charaag jale hamare dil me magar tere gham ke daag jale jaha me aayi diwali bade charaag jale hamare dil me magar tere gham ke daag jale