SONG: Jab Dil Se Dil Takrata Hai, Mat Puchiye Kya Ho Jata Hai - जब दिल से दिल टकराता है जब दिल से दिल टकराता है

Jab Dil Se Dil Takrata Hai, Mat Puchiye Kya Ho Jata Hai - जब दिल से दिल टकराता है जब दिल से दिल टकराता है

LYRICS:
jab dil se dil takrata hai jab dil se dil takrata hai mat puchiye, kya ho jata hai jhukti hai nazar, rukti hai zubaan maathe pe pasina aata hai jab dil se dil takrata hai dekha tha tujhe ik baar kahi, us din se abhi tak hosh nahi, us din se abhi tak hosh nahi, phir ishq ne karwat badli hai, phir samane tu hai maahjabeen, ab dekhiye kya kya rang naye, didaar tera dikhlaata hai jab dil se dil takrata hai ye husn sharaabi mehkaa badan aur uspe tera ye bholaapan teri bhi ummide jaagin hai, kehti hai tere dil ki dhadkan betaab hai tu bhi mere liye, andaaz tera batlaata hai jab dil se dil takrata hai mat puchiye kya ho jata hai mukhdaa na chhupa yu haatho se din ko na badal ab raato se din ko na badal ab raato se gulshan mein bikharne de nagme, tu pyaar ki meethi baaton se ae husn ki devi aankh mila apnon se koi sharmata hai jab dil se dil takrata hai, mat puchiye kya ho jata hai jhukti hai nazar rukti hai zubaan maathe pe pasina aata hai jab dil se dil takrata hai