SONG: Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Kabhi - जब भी आती हैं तेरी याद

Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Kabhi - जब भी आती हैं तेरी याद

LYRICS:
jab bhi aati hain teri yaad kabhi shaam ke baad aur badh jaati hain afsoorda dili shaam ke baad jab bhi aati hain teri yaad kabhi shaam ke baad ab iraado pe bharosa hain na tauba pe yaki mujhko le jaa re kahan tashnalabi shaam ke baad yu to har lamha teri yaad ka bojhal gujra dil ko mehsoos huyi teri kami shaam ke baad yu to kuch shaam se pehle bhi udaasi thi adeeb ab to kuch aur badhi dil ki lagi shaam ke baad aur badh jaati hain afsoorda dili shaam ke baad jab bhi aati hain teri yaad kabhi shaam ke baad