SONG: Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke - इसको भी अपनाता चल, राही हैं सब एक डगर के

Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke - इसको भी अपनाता चल, राही हैं सब एक डगर के

LYRICS:
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal raahi hai sab ek dagar ke sab par pyar lutata chal isko bhi apnata chal, usko bhi apnata cha idhar kafan tak nahi laash par udhar numaayish resham ki yahan swayavar kare chandani vahan na raat kate gam ki dharati kakar patthar mare ambar ugle angare koi puchhe bat na is bagiya me dukhiyaa shabnam ki sukh ki umr badhata chal, dukh ko kafan odhaata chal mile jahan bhi mahal use kutiya ke pas bulata chal isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal bikaa biki sab or machi hai aane yaa do aano par ismat bike doraaho par to pyaar bike dukano par dagar dagar par mandir masjid qadam qadam par gurudvare bhagvano ki basti me hai zulm bahut insano par khidaki har khulavata chal, sankal har katavata chal is par bhi roshani na ho to dil kaa diyaa jalata chal isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal rahi hai sab ek dagar ke sab par pyaar lutata chal isko bhi apnata chal hirdey hirdey ke bich khaiyaan lahu bichhaa maidano me ghum rahe hai yuddh sadak par shanti chhipi shamshano me zanjire kat gai magar azaad nahi insan abhi duniya bhar ki khushi qaid hai chandi jade makano me tat tat raas rachataa chal, panghat panghat gaataa chal pyasaa hai har pran nayan kaa gagaa jal chhalkata chal isko bhi apnata chal nayan nayan tarse sapno ko aanchal tarse phulo ko aangan tarse tyoharo ko galiya tarse jhulo ko kisi hoth par baje na basi kisi haath me bin nahi umar samudar ki de daali kis ne chad babulo ko soi kiran jagata chal, ruthi subhe manata chal pyaar naqaabo me na band ho har ghunghat khulvatachal isko bhi apnta chal, usko bhi apnta chal