Is Sansar Mein Sabse Pyara Bhai Behan Ka Pyar (Sad) - इस संसार में सबसे प्यारा भाई बहन का प्यार है
LYRICS:
aankho se tu door chali hai
dil se door naa jaana tu
tera rasta dekhenge ham
raakhi ke din aana tu
kabhi jarurt pade hamari
ek aawaj lagana tu
ek aawaj lagana tu
tere bhai bahut bade hai
chhoti har deewar hai
is sansar mein sabse pyara
bhai bahan ka pyar hai
kitna sundar kitna pyara
ye sara sansar hai
is sansar mein sabse pyara
bhai bahan ka pyar hai
bhai bahan ka pyar hai