SONG: Is Gulshan Ko Aag Laga Do - इस गुलशन को आग लगा दो

Is Gulshan Ko Aag Laga Do - इस गुलशन को आग लगा दो

LYRICS:
is gulshan ko aag laga do, aag laga do is gulshan ko aag laga do, aag laga do phool koi na todne paye phool koi na todne paye angare faila do aag laga do, aag laga do phoolo pe kaise ho sakta hai kanto ka raaj shaabnam se keh do ke vo shola ban jaye aaj kab se sulag rahi hai ab ye kab se sulag rahi hai ab ye chingari bhadka do aag laga do, aag laga do is gulshan ko aag laga do, aag laga do vo fariyad nahi sunte jo hote hai saiyad tod ke rakh do aaj kafasgar hona hai aazad or nahi kuch kar sakte to or nahi kuch kar sakte to apne pankh jala do aag laga do, aag laga do is gulshan ko aag laga do aag laga do, aag laga do vo buzdil hai jo lete hai takdiro ka naam ye takdire to hai apni shamshiro ka naam maut jinhe manjur hai unko maut jinhe manjur hai unko jina aaj sikha do aag laga do, aag laga do aag laga do, aag laga do aag laga do