SONG: Is Desh Ko Swarg Banana Hai - इस देश को स्वर्ग बनाना है

Is Desh Ko Swarg Banana Hai - इस देश को स्वर्ग बनाना है

LYRICS:
waqt ke sath chalo waqt ki aawaz suno waqt jo saj bajata hai wahi rag suno waqt kahta hai to ghunghat bhi jala kar rakh do khokhli rasmo ki buniyad hila kar rakh do devio geet ye panghat ke bhulane honge ab naye rag machino ke sunane honge ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai is desh ko swarg banana hai ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai ab chulhe choke ke sang sang hum sikhe or sikhayenge is desh ke gaw gaw me vidya ka rag sunayenge ab tod ke rato ka jadu suraj se aankh milana hai suraj se aankh milana hai is desh ko swarg banana hai ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai santan ke lalcha me aakar kyu or badhaye aabadi insan jyada or dharti kam to bik jayegi aazadi takdir ki takat se apni bigdi takdir banana hai bigdi takdir banana hai is desh ko swarg banana hai ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai ab chhod ke jhule sawan ke tapti hui ret pe chalna hai mehandi ki jagah in hatho ki dusman ke khun se rangna hai jis maa ne janam diya hamko us maa ki laaj bachana hai us maa ki laaj bachana hai is desh ko swarg banana hai ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai is desh ko swarg banana hai ab jagna or jagana hai ab jagna or jagana hai