SONG: Hum Sabko Nek Raah Chalana Mere Allah - हम सबको नेक राह चलाना मेरे अल्लाह

Hum Sabko Nek Raah Chalana Mere Allah - हम सबको नेक राह चलाना मेरे अल्लाह

LYRICS:
hum sabko nek rah chalana mere allah bando ko burai se bachana mere allah allah karam karna, maula tu reham karna allah karam karna, maula tu reham karna ik vakaya sunati hoon main apni zubani apne bado se maine suni hai ye kahani rehta tha kisi shehar me ek aisa bhi insan jo nam ka muslim thha magar kam ka shaitan zalim ko zor-e-bazoo pe apne guroor tha yani ke bekhudi me khuda se wo door tha sab log use kehtey the jallad sitamgar masoom ki fariyad ka us pe na tha asar jo wada us ne kar liya wo kar ke dikhaya paiso ke liye qatl kiye khoon bahaya ik din wo behta khoon asar us pe kar gaya insan zinda ho gaya shaitan mar gaya allah karam karna, maula tu reham karna allah karam karna, maula tu reham karna iman jise kehte hain farman-e-khuda hai quran ke har lafz me us ki hi sada hai allah ne bakshi hai jo iman ki daulat ye sab se badi cheez hai insan ki daulat soye huye dilo ko jagata hai ye iman bhatke huyo ko rah dikhata hai ye iman iman ki garmi se pighal jate hain patthar is noor se bante hain sanwarte hain muqaddar jo sab se pyar karta hai insan wohi hai muslim hai wohi, sahibe-iman wohi hai allah karam karna, maula tu reham karna allah karam karna, maula tu reham karna jis kam ke karne pe na ho razi koi dil wo kam bhi is duniya me nafrat ke hai kabil jo kuchh bhi zuban keh de wo iqrar nahi hai laghzish hai labo ki wo gunehgar nahi hai jo dil se nahi karta burai ka irada allah se wo tauba karey tod de wada jaldi jo sambhal jaye wo nadan nahin hai iman jis me ho wo beiman nahin hai duniya me hamesha to nahi rehta andhera insan jahan jage wahi pe hai savera allah karam karna, maula tu reham karna allah karam karna, maula tu reham karna jo sacche dil se karta hai iman ki arzoo allah ki nazaron mein wo hota hai surkh-rooh iman me kya kya na saha pyare nabee ne kya aisi musibat bhi utthayi hai kisi ne karbal ke shaheedo ne sabak hum ko padhaya sajde me de ke jan ko iman bachaya iss rah me jo sehte hain taqleef-o-musibat ik roz un pe hoti hai allah ki rehmat insan hai wo jo dusaro ka dil na dukhaye pad jaye agar jan pe to jan lutaye allah karam karna, maula tu reham karna allah karam karna, maula tu reham karna