Har Taraf Ab Yehi Afsane Hai, Ham Teri Aankho Ke Diwane Hai - हर तरफ़ अब यही अफ़साने हैं, हम तेरी आँखों के दीवाने है
LYRICS:
har taraf ab yahi afsane hain
har taraf ab yahi afsane hain
ham teri aankho ke deewane hain
har taraf ab yahi afsane hain
har taraf ab yahi afsane hain
har taraf ab yahi afsane hain
itni sachchayi hai in aankho mein
khote sikke bhi khare ho jaye
tu kabhi pyar se dekhe jo udhar
sukhe jangal bhi hare ho jaye
baag ban jaye
baag ban jaye jo virane hain
ham teri aankho ke deewane hain
har taraf ab yahi afsane hain
ek halka sa ishara inka
kabhi dil aur kabhi jaan lutega
kis tarha pyas bujhegi uski
kis tarha uska nasha tutega
jiski kismat mein
jiski kismat mein ye paimane hain
ham teri aankho ke deewane hain
har taraf ab yahi afsane hain
nichi najro mein hain kitna jadu
ho gaye pal mein kayi khwab jawan
kabhi uthne kabhi jhukne ki ada
le chali jane kidhar jane kaha
raste pyar ke, raste pyar ke anjane hain
ham teri aankho ke deewane hain
ham teri aankho ke deewane hain
har taraf ab yahi afsane hain