SONG: Hamein To Sham-E-Gham Mein Katni Hai Jindgai Apni - हमें तो शाम-ए-ग़म में काटनी है ज़िंदगी अपनी

Hamein To Sham-E-Gham Mein Katni Hai Jindgai Apni - हमें तो शाम-ए-ग़म में काटनी है ज़िंदगी अपनी

LYRICS:
hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni jaha wo hai wahi ai chaand le ja chandani apni jaha wo hai wahi ai chaand le ja chandani apni agar kuch thi to bas ye thi tamanna akhiri apni agar kuch thi to bas ye thi tamanna akhiri apni ki tum saahil pe hote aur kashti doobati apni hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni taqaza hai yehi dil ka wahi chaliye, wahi chaliye wo mehfil haaye jis mehfil me duniya lut gayi apni hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni khuda ke vaaste zalim ghadi bhar ke liye aa ja ghadi bhar ke liye aa ja bhujhani hai tere daaman pe shama-e zindagi apni hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni hame to