SONG: Hamasafar Mere Hamasafar Pankh Tum Paravaaz Ham - हमसफ़र मेरे हमसफ़र, पंख तुम परवाज़ हम

Hamasafar Mere Hamasafar Pankh Tum Paravaaz Ham - हमसफ़र मेरे हमसफ़र, पंख तुम परवाज़ हम

LYRICS:
humsafar mere humsafar, pankh tum parwaaz hum zindagi ka saaz ho tum, saaz ki aawaz hum humsafar mere humsafar, pankh tum parwaaz hum zindagi ka geet ho tum, geet ka andaaz hum humsafar mere humsafar aankh ne sharma ke kah di dil ke sharmane ki baat ek diwani ne sunli duje diwane ki baat pyar ki tum intha ho pyar ka aagaaz hum pyar ka aagaaz hum humsafar mere humsafar, pankh tum parwaaz hum zindagi ka geet ho tum, geet ka andaaz hum humsafar mere humsafar jikr ho ab aasma ka ya jami ki baat ho khatam hoti hai tumhi par ab kahin ki baat ho ho hasi tum, mahjabi tum naazni tum naaz hum naazni tum naaz hum humsafar mere humsafar, pankh tum parwaaz hum zindagi ka saaz ho tum, saaz ki aawaz hum humsafar mere humsafar, pankh tum parwaaz hum zindagi ka saaz ho tum, saaz ki aawaz hum humsafar mere humsafar