SONG: Ham Dil Ka Kanval Denge Jisko Hoga Koi Ek Hazaro Me - हम दिल का कँवल देंगे जिसको, होगा कोई एक हज़ारों में

Ham Dil Ka Kanval Denge Jisko Hoga Koi Ek Hazaro Me - हम दिल का कँवल देंगे जिसको, होगा कोई एक हज़ारों में

LYRICS:
ham dil ka kanval denge jisko, hoga koi ek hazaron me sagar mein kahi jyon ik moti, jaise chanda kai sitaron me ham dil ka kanval denge jisko, hoga koi ek hazaron me ye rup-rang ki phulvari, uske liye hi ye phul khile ye rup-rang ki phulvari, uske liye hi ye phul khile sab kuch dena hai saunp use, jis din jis pal vo an mile bagon mein usi ke charche hain, hai uski bat baharon me ham dil ka kanval denge jisko, hoga koi ek hazaron me thandi si jalan dil ke andar, mithi si kasak dil me lekar thandi si jalan dil ke andar, mithi si kasak dil me lekar ham khoj me uske nikale hai, in raho or doraho par shayad wo aj hi mil jaye, hai pyar ka rang najaro me shayad wo aj hi mil jaye, hai pyar ka rang najaro me ham dil ka kanval denge jisko, hoga koi ek hazaron me sagar mein kahi jyon ik moti, jaise chanda kai sitaron me