SONG: Hai Bahut Mashoor Ye Kissa - है बहुत मशहूर ये किस्सा उम्र फारुख का

Hai Bahut Mashoor Ye Kissa - है बहुत मशहूर ये किस्सा उम्र फारुख का

LYRICS:
hai bahut mashur ye kissa umar farukhh ka aaj bhi duniya me hai charcha umar farukh ka jab khilafat ka saraf hasil hua farukh ko momino ki fikar rahti thi sada farukh ko kaam aate the har majbur ke hajrat umar sok se karte the khud har ek ki khidmat umar firte firte ek din panhuche umar ek ghar ke paas dekhte kya hai waha baithi hai ek aurat udas degchi chuhlepe pe thi aur ro rahe the uske lal jab kiya hajrat umar ne ja ke aurat se sawal ro rahe kis liye bachhe ye kya hai majra bhukh se rote hai ye bachhe ye aurat ne kaha bole hajrat degchi mein pak raha ho kya kaho kis liye gamgin ho jo kuch bhi ho dukhda kaho boli wo aurat ke pani se bahri hai degchi kyuki main bachho ko bahlati hun is surat se hi uth taraste hai ye bachhe dane dane ke liye kuch nahi hai mere paas inko khilane ke liye tisre din ka hai paka mere bachho pe hujur mera koi bhi yaha walin nahi najdiko dur roye usko dekh kar is haal mein hajrat umar aa gaye foran bhige ulmaal mein hajrat umar aata kapda ghee chhuware aur rakam le kar umar gham jada aurat ke ghar ki sint daude jald tar pith par dekha umar ke bojh to bola gulaam bojh utha kar mujhko chalne dijiye ae nek naam ye umar wo le agar ye bojh main de dun tujhe hasar ke din kya saza de gaana jane rab mujhe de diya dukhiya ko sab saman lakar aapne aur khilaya sabko khud khana pakakar aapne kha liya bachcho ne aur aurat ne khana jis ghadi ho gaye hajrat umar khush dekh kar inki khushi apko dekar duaaye phir ye aurat ne kaha kaash mil jata koi humko khalifa aap sa hum garibo ki umar koi khabar rakhte nahi aish mein hai mast dukhiyo par najar rakhte nahi le ke us dukhiyo ki baato ka asar hajrat umar khamoshi se laut aaye apne ghar hajrat umar subaha us aurat ko phir farukh ne bulwa liya aur vajifa uska betul maali se jaari kiya ho ke sharminda umar ne aurat se kaha dukh bahut panhucha hai tumko meri gaflat se sada tum mujhe kardo muaafit itni hai meri iltaza tumjo mujhko baksh do to baksh de mujhko khuda sari duniya mein hai charcha har kahi farukh ka koi bhi insaaf mein saani nahi farukh ka