SONG: Gwal Bal Sang Lila Jiski Badi Suhani Hai - ग्वाल बाल संग लीला जिसकी बड़ी सुहानी है

Gwal Bal Sang Lila Jiski Badi Suhani Hai - ग्वाल बाल संग लीला जिसकी बड़ी सुहानी है

LYRICS:
vasudev devki karagar mein bandi the unke pehre par raksas gan savachhandi the ashtmi bhadr pad ki thi raat andheri thi jab daya dhram ki gunj uthi ran bheri thi us samay liya awtaar katha ye bahut purani hai go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai krishn ki amar kahani hai ek kiran aashiki ardh raatri mein chhut gayi bandi garh ki srinkhala savyam hi tut gayi bhgwan ki lila suno ki ye amrit ki baani hai go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai krishn ki amar kahani hai raat andheri ghatao ne gheri raat andheri ghatao ne gheri jamuna mein baadh ka jal uchhle mathura se gokul shyam sundar ko sar pe liye vasudev chale raat andheri lila dikhai baal gopal ne hilne lage shri chran kamal jisko chhu kar shish nawa kar shant huaa jamuna ka jal shant huaa jamuna ka jal shant huaa jamuna ka jal gend gira na kalindi mein gwaal baal ki chaal hai aaj kaliye naag ke aage kaal bana gopal hai funkar raha nathno se fan khole atyachari uske fan ko nath ke dekho banshi bajate wanwaari funkar raha nathno se fan khole atyachari uske fan ko nath ke dekho banshi bajate wanwaari bole nand yashoda chintit dukhiya sab gokul waasi upar laye dusht naag ko upar laye dusht naag ko uske fan ko laga faasi kalinda mardan huaa katha jani pehchani hai go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai pawan jo ganga jamuna ka nirmal paani hai go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai krishn ki amar kahani hai gwaal baal sang lila jiski badi suhani hai go rakshk gopal krishn ki amar kahani hai krishn ki amar kahani hai krishn ki amar kahani hai