SONG: Guzare Hain Is Tarah Se Duniyaa Men Din Hamaare - गुज़रे हैं इस तरह से दुनिया में दिन हमारे

Guzare Hain Is Tarah Se Duniyaa Men Din Hamaare - गुज़रे हैं इस तरह से दुनिया में दिन हमारे

LYRICS:
gujre hai is tarah se duniya me din humare bheege rahe humesha aankho ke do kinare gujre hai is tarah se sine se ranj-o-gam ko humne laga ke rakha majburiyo ko dil hi dil me chhupa ke rakha karte bhi kya ae kismat, tere sitam ke mare gujre hai is tarah se hasrat bhari kahani, kissa hai bekasi ka likha hai aansuo se afsana zindagi ka kuch na kisi se kahna, ae meri bezubani gardish nasib ki hai, kya dosh hai kisi ka tute chamak chamak kar taqdeer ke sitare gujre hai is tarah se duniya me din humare bheege rahe humesha aankho ke do kinare gujre hai is tarah se