Gunagunaate Hue Gaate Hue Aa Jaate Hain - गुनगुनाते हुए गाते हुए आ जाते हैं
LYRICS:
gunagunaate hue gaate hue aa jaate hai
ruh ko khaab se yun bhi wo jagaa jaate hai
bhul jaataa hun to yaad aate hai wo rah-rah kar
nind aati hai to wo aa ke jaga jaate hai
khud wo aaye ki na aaye magar ai betaabi
ye bhi kya kam hai ki wo yaad to aa jaate hai
wahi ham hai wahi tu hai wahi baate hai teri
ham teri bazm se jaate hai to kya jaate hai