SONG: Gori Ghunghat Me Mukhda Chupao Na - गोरी घूँघट में मुखड़ा छुपाओं ना

Gori Ghunghat Me Mukhda Chupao Na - गोरी घूँघट में मुखड़ा छुपाओं ना

LYRICS:
gori ghunghat me mukhda chhupao na ye to naina ladane ki rat hai gori ghunghat me mukhda chhupao na ye to naina ladane ki rat hai hame gusse se ha hame gusse se aankhe dikhao na ye to hasne hasane ki rat hai aaj tu kahe ko sharmati hai ye ghadi roz nahi aati hai aane wale hai piya milne ko phul hai dil ke tere khilane ko tujhko rasiya ki najar lutegi lutegi aaj naino ki sharam tutegi kahe tere ye nain kahe tera dil hai bechain sakhi hamse yu daman chhudao na ye to milne milane ki rat hai gori ghunghat me mukhda chupao na ye to naina ladane ki rat hai aaj ki rat jara chup rahna dil ki bate na balam se kahna wo agar chede to bal kha jana unki bato me na tu aa jana mard ki jat ko tu kya jane kya jane bade chalak hai ye diwane kabhi payya padenge kabhi vinti karenge fir se kahna jao satao na are ye to nakhre dikhane ki rat hai gori ghunghat me haye dayya gori ghunghat me mukhda chupao na ye to naina ladane ki rat hai hame gusse se ha hame gusse se aankhe dikhao na ye to hasne hasane ki rat hai