Gazab Kiyaa Tere Waade Pe Aitabaar Kiyaa - ग़ज़ब किया तेरे वादे पे ऐतबार किया
LYRICS:
gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat ka itazaar kiyaa
hansaa-hansaa ke shab-e-wasl ashqabaar kiyaa
tasaliyaan mujhe de-de ke beqaraar kiyaa
ham aise mahav-e-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare tagaaful ne hoshiyaar kiyaa
fasaanaa-e-shab-e-gam unako ek kahaani thi
kuchh aitabaar kiyaa kuchh na aitabaar kiyaa