SONG: Gareeb Jaan Ke Hum Ko - गरीब जान के हम को

Gareeb Jaan Ke Hum Ko - गरीब जान के हम को

LYRICS:
ghareeb jaan ke ghareeb jaan ke ham ko na tum mita dena tumhi ne dard diya tumhi ne dard diya hai tumhi dawaa dena ghareeb jaan ke lagi hai chot kaleje pe umar bhar ke liye lagi hai chot kaleje pe umar bhar ke liye tadap rahe hain muhabbat mein ik nazar ke liye nazar milake nazar milaake muhabbat se muskura dena tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa denaa ghareeb jaan ke jahan mein aur hamara kahan thikana hai jahan mein aur hamara kahan thikana hai tumhaare dar se kahaan uthke hamko jaana hai jo ho sake to jo ho sake to muqaddar mera jagaa denaa tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa denaa ghareeb jaan ke milaa qaraar na dil ko kisi bahane se
milaa qaraar na dil ko kisi bahane se tumhari aas lagaaye hain ik zamane se kabhi to apni kabhi to apni muhabbat ka aasraa denaa tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa denaa ghareeb jaan ke nazar tumhari mere dil ki baat kahti hai nazar tumhari mere dil ki baat kahti hai tumhari yaad to din raat saath rahti hai tumhari yaad ko tumhari yaad ko mushqil hai ab bhula dena tumhi ne dard diya hai tumhi dawaa dena tumhi ne dard diya milega kya jo ye duniya hamen sataayegi milega kya jo ye duniya hamen sataayegi tumhaare bin to hamen maut bhi na aayegi kisi ke pyaar ko kisi ke pyaar ko aasaan nahin mita dena tumhi ne dard diya hai tumhi dawaa dena ghareeb jaan ke