Gamzadon Ko Aish Kaa, Gam Ki Duniyaa Men Kushi Kaa - ग़म्ज़दों को ऐश का पैग़ाम क्या
LYRICS:
gamzado ko aish ka paigaam kya
gam ki duniyaa me khushi kaa kaam kya
kaam kya
dil jaha duba adhera ho gya
ashk tute to savera ho gya
ham garibo ki sahar kya shaam kya
shaam kya
kaap uththa zindagi kaa saaz kyo
gam me hai dubi hui aawaaz kyo
phir chalakne ko hai dil ka jaam kya
jaam kya
koi arma muskra sakta nahi
dil khushi ke git ga sakta nahi
zindgaani hai isi ka naam kya
naam kya