SONG: Ek Thi Punyakoti Hai - एक थी पुण्य कोटि है

Ek Thi Punyakoti Hai - एक थी पुण्य कोटि है

LYRICS:
is dhara pe ek sundar desh karna natak jaha par ek tha kalingwala hai usi ki ye katha ped niche baith jata jhum kar bansi bajata nam lele kar bulata prem se har gaay ko aa ri ganga gauri aaja tung bhadra tu bhi aaja punay koti maa aaja aa ri shyama tu bhi aa bol sun gwale hat sab aa khadi hoti nikalt wo dudh duhane baithta to pal me bhar jate ghade ek thi maa punya koti hai usi ki ye katha pas parvat ki goofa me us ghane jungle me koi bagh rahta tha bhayanak bagh tha bukha bada ghath me tha wo jhapat ke bich kuda jo garaj ke dar gayi gaay achanak aur bhagi pran le lad bachde ko ladau dudh jate hi pilau laut kar ghar ja rahi thi punay koti sochti lo mila aahar mujhko soch man me bagh usko gher aadhe raste me ho gaya giri sa khada ek thi maa punya koti hai usi ki ye katha bhukh se bola tadap ke mai padunga tut tujhpe aur tujhko niche girake phad khaunga abhi jodti hu hath tere lal bhukha raah dekhe dudh fauran mai pilake laut aaungi yaha pran du na vachan jaye satya hi maa bap bhai jo vachan tode us par parbhu nahi karti kripa ek thi maa punya koti hai usi ki ye katha lal baitha bagh bhukha mai vachan de lautne ka isliye aayi ke tujhko aankh bhar kar dekh lu dudh mai kiska piunga bola kisko maa kahunga mai anath sa jiunga kaun dega aasra o mere bachpan ki sakhiyo ek vinti meri suniyo ye hua bemaa ka isko lal apna janiyo sing aage taniyo na lat piche mario na is abhage ko tum apne lal jaisa janiyo ek thi maa punya koti hai usi ki ye katha der na ho soch man me gay bachde se bichad ke jhat gufa ke dwar pahuchi aur boli bagh se pesiya lo maas bhi lo lo jigar ka khun pee lo lo mita lo bhukh apni aur bhai khush raho bhukh bhula zindagi me bagh pahli bar roya mai agar maru ise to mujhe dhikkar hai dhanya hai tu bahan meri mai na lunga jan teri ye kaha upar se kuda pran usne tjag diye ek thi maa punya koti hai usi ki ye katha nam hari har karishan ka le har makar shakaranti ko vansh dhar puje jo mujhko puran ho har kamna jo bhi sun le is katha ko puran ho har kamna