SONG: Ek Thi Ladaki Meri Saheli Ek Paradesi Dur Se Aaya - एक थी लड़की मेरी सहेली एक सहेली परदेशी दूर से आया

Ek Thi Ladaki Meri Saheli Ek Paradesi Dur Se Aaya - एक थी लड़की मेरी सहेली एक सहेली परदेशी दूर से आया

LYRICS:
ek thi ladki ek thi ladki meri saheli, sath pali aur sath hi kheli phulo jaise gaal the uske, resham jaise baal the uske hansti thi aur gaati thi vo, sabke man ko bhati thi vo jhalardar skirt pehan ke, jab chlti thi vo ban than ke hum usko gudiyan kahte the, rango ki pudiya kehte the saari school ki pyaari thi vo, nanhi raajkumari thi vo ek din usne bholepan se, puchha ye papa se jaa ke ab main khush rahti hun jaise, sada hi kya rahungi aise papa bole meri bachhi, baat bataun tujh ko sachhi kal ki baat naa koi jaane, kehte hai ye sabhi sayane ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga bachpan beeta aayi jawani, ladki ban gayi rup ki rani college me ithlaati firti, balkhaati lahraati firti ek sundar chanchal ladke ke chhup-chhup kar chupke-chupke se ladki ki tasvir banai, aur ye kah kar use dikhai is par apna naam to likh do, chhota sa paigam to likh do ladki pahle to sharmai, fir man hi man me muskaayi deni ek tasvir tumhari, maine bhi dil me utaari bolo is par naam likhoge, tum bhi kuch paigam likhoge ladka bola naam bhi ek hai, ab apna piagam bhi ek hai ab to dono gaate firte, masti me lahraati firti ek din usne bholepan se, puchha ye apne sajan se ab main khush rahti hun jaise, sada hi kya rahungi aise usne kaha ki meri rani, itni baat hai maine jaani kal ki baat naa koi jaane, kehte hai ye sabhi sayane ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga (2nd version) ik pardesi dur se aaya, ladki par haq apna jataya ghar waalo ne haami bhar di, pardesi ki marazi kar di pyaar ke waade huye naa pure, rah gaye saare khwaab adhure chhod ke saathi aur hamsaaye, chal di ladki desh paraye do banho ke haar ne roka, vaado ki diwaar ne roka ghayal dil ka pyaar pukara, aanchal ka har taar pukara par ladki kuch munh se na boli, patthar ban kar gair ki ho li ab gumsum hairan si hai wo, mujhse bhi anjaan si hai wo jab bhi dekho chup rahti hai, kahti hai to ye kahti hai kal ki baat naa koi jaane, kehte hai ye sabhi sayane ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga