SONG: Ek Raja Ki Sun Lo Kahani - एक राजा की सुन लो कहानी

Ek Raja Ki Sun Lo Kahani - एक राजा की सुन लो कहानी

LYRICS:
ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani kahi hathi na ghode na sena koi na kahi thi koi rajdhani ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani teen bete the aankho ke tare bade pyare pyare dilo ke sahare vo the raja ke anmol moti nigaho ki jyoti the maa ke dulare palko ki chav me guzra tha bachpan masti me doobi jawani ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani ek aisa agar din bhi aaya jisne raja ko nirdhan banaya ho gaye khali sare khajane haye kaisa ye andher chaya vo jo bete the aankho ke tare raja rani ke dil sahare kaam aise me vo bhi naa aaye chupte firte the aankhe churaye aaram ke sathi kya kya the jab vaqt padha to koi nahi dhan daulat ke sab rishte hai dhan ruth gaya to koi nahi kon girte ko deta sahara vo raja bechara thaka aur hara sochta tha kaha hai vo moti vo aankho ki jyoti bane jo sahara raja to chup chap pita tha aansu chup chup ke roti thi rani ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani ho gaya apna khoon paraya ho gaya apna khoon paraya kaam magar ek chaakar aaya ek bhola insan vaha tha bachpan se mehman vaha tha usne jiske tukde khaye sada usi ke panv dabaye un bedardo ki mehfil me ek vahi hamdard bacha tha lekin malik ko kya deta bechare ke paas hi kya tha apne malik ke kadmo me ro ro ke khush hota charan uske dho dho ke apna tan man nayochavar vo karta raha ek ishare pe malik ke marta raha hai kahani magar baat kal hi ki hai na samjhna ise tum purani ek raja ki sun lo kahani ek raja ki sun lo kahani