SONG: Dusro Ka Dukhda Door Karnewale - दूसरों का दुखड़ा दूर करने वाले

Dusro Ka Dukhda Door Karnewale - दूसरों का दुखड़ा दूर करने वाले

LYRICS:
dusro ka dukhda dur karne wale tere dukh dur karenge ram dusro ka dukhda dur karne wale tere dukh dur karenge ram kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam tere dukh dur karenge ram sat ka hai path ye, dharam ka marg sambhal sambhal chalna prani pag pag par hai, yaha re kasauti kadam kadam par kurbani magar tu dawadol na hona teri sab peer harenge ram dusro ka dukhda dur karne wale tere dukh dur karenge ram kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam tere dukh dur karenge ram kya tune paya, kya tune khoya kya tera labh hai, kya hani iska hisab karega wo ishwar tu kyu fikar kare re prani tu bas apna kaam kiye ja tera bhandar bharenge ram dusro ka dukhda dur karne wale tere dukh dur karenge ram kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam tere dukh dur karenge ram ponchh le tu apne aansu tamam tere dukh dur karenge ram tere dukh dur karenge ram kiye ja tu jag me, bhalai ka kaam tere dukh dur karenge ram ponchh le tu apne aansu tamam tere dukh dur karenge ram