SONG: Duniya Sata Rahi Thi (Daulat Ke Haatho Khoon Bhi Safaid Ho Gaya) - दुनिया सता रही थी ताने भी सह रहा था

Duniya Sata Rahi Thi (Daulat Ke Haatho Khoon Bhi Safaid Ho Gaya) - दुनिया सता रही थी ताने भी सह रहा था

LYRICS:
duniya sata rahi thi taane bhi sah raha tha ik parkata kabootar pinjre mein kah raha tha daulat ke haatho khun bhi safed ho gaya daulat ke haatho khun bhi safed ho gaya sone ka pinjra dekh ke main qaid ho gaya kabootar qaid ho gaya sone ka pinjra dekh ke main qaid ho gaya kabootar qaid ho gaya laathi ke aasre pe wo khubde bhi tan gaye laathi ke aasre pe wo khubde bhi tan gaye haldi ki mil gayi pansaari ban gaye duniya ke har marj ki dawa apne pass hai khaanshi ki goli khate hi main vaidh ho gaya kabootar qaid ho gaya daulat ke haatho khun bhi safed ho gaya sone ka pinjra dekh ke main qaid ho gaya kabootar qaid ho gaya duniya ka rang khub badalta hai aajkal duniya ka rang khub badalta hai aajkal kuwaa bhi chaal hans ki chalta hai aajkal jata hai roz baith ke motor mein bhai ka sar to dhoop mein safed ho gaya kabootar qaid ho gaya daulat ke haatho khun bhi safed ho gaya sone ka pinjra dekh ke main qaid ho gaya kabootar qaid ho gaya ulta zamaana aa gaya bakri bhi sher hai ulta zamaana aa gaya bakri bhi sher hai kangaal hai amir ye kismat ka pher hai laakho ki zaaydaad to biwi ke naam hai duniya ko kadwa bol bhi ab shahad ho gaya kabootar qaid ho gaya daulat ke haatho khun bhi safed ho gaya sone ka pinjra dekh ke main qaid ho gaya kabootar qaid ho gaya