SONG: Duniya Me Kya Kya Hota Hai Pyare

Duniya Me Kya Kya Hota Hai Pyare

LYRICS:
duniya mein kya kya hota hai pyaare duniya mein kya kya chalta hai pyaare tu kya samjhe tu kya jaane tu kya samjhe tu kya jaane duniya abhi toone nahin dekhi duniya mein kya kya hota hai pyaare arre duniya mein kya kya chalta hai pyaare chal aage badh andhernagri mein. karta hai koi kaala dhandhaa kaala dhandhaa khot ka koi hai vyopaari kyaa haan baaba bhagwaan bechta hai mandir ka har pujaari hariom ginti ke lakhpati yahaan laakhon yahaan bhikhaari arre tu kya samjhe tu kya jaane tu kya samjhe tu kya jaane duniya abhi toone nahin dekhi duniya mein kya kya hota hai pyaare aur aage badh kuchh aur dikhaata hoon. duniya mein aane ki izaajat haan jee permission hamne kisi se kahaan li thhi yoon hi tapak pade jab aa gaye hain ham tum raahon mein zindagi ki aansoo bahaa ke kaise manzil miley khushi ki tu kya samjhe tu kya jaane re tu kya samjhe tu kya jaane duniya abhi toone nahin dekhi duniya mein kya kya hota hai pyaare.