SONG: Duniya Me Badshah Hai To Hai Wo Bhi Aadmi - दुनिया में बादशाह है तो है वो भी आदमी

Duniya Me Badshah Hai To Hai Wo Bhi Aadmi - दुनिया में बादशाह है तो है वो भी आदमी

LYRICS:
duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi aur mufliso gada hai to hai vo bhi aadmi aur mufliso gada hai to hai vo bhi aadmi sahiba duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi papo se mar gaya hai to hai vo bhi aadmi are murga jo kha raha hai to hai vo bhi aadmi tukde chaba raha hai to hai vo bhi aadmi tukde chaba raha hai to hai vo bhi aadmi sahiba duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi kaise banaye aadmi ko yaar aadmi hai aadmi ke bich me diwaar aadmi thane me ek mai hu giraftaar aadmi ek thanedar thane ka mukhtaar aadmi jo mujhpe hans raha hai to hai vo bhi aadmi jo mujhpe hans raha hai to hai vo bhi aadmi sahiba duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi ye paisa aadmi se jo chahe wahi karaye ghode ke badle aadmi riksha me dhota jaye har aadmi ko padi paise ki haye haye haye haye paise jhela haye haye jag ka mela haye haye aaye akela haye haye jaye akela haye haye aankh ka anjan haye haye dant ka manjan haye haye dant nikale haye haye jaan ke laale haye haye tu hi bacha le haye haye giraftari haye haye, bambari haye haye duniyadari haye haye, chor bajari haye haye thirkadaari haye haye, haye haye haye haye haye haye haye haye, haye haye haye haye haye haye haye haye ye sab jo kar raha hai to hai vo bhi aadmi ye sab jo kar raha hai to hai vo bhi aadmi sahiba duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi har aadmi ko padi paise ki haye haye paise ki khatir aadmi bandar kahi nachaye mai bhi hu ek aadmi chakram hai mera naam hindu ko raam raam, musalmaan ko salam do boot ek sut se chalta hai kaam atom ke bomb ka hai koi aadmi gulam jo ann chahta hai to hai vo bhi aadmi jo ann chahta hai to hai vo bhi aadmi sahiba duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi duniya me badshah hai to hai vo bhi aadmi