SONG: Duniya Ke Saath Chal Pyare - दुनिया के साथ चल प्यारे

Duniya Ke Saath Chal Pyare - दुनिया के साथ चल प्यारे

LYRICS:
duniyaa ke saath chal pyaare aise na haath mal pyaare do din bahaar, hans kar guzaar hai ye reet aaj kal pyaare duniyaa ke saath chal pyaare aise na haath mal pyaare jab tak jawaan ye dil hai duniyaa haseen mahfil hai masti mein doob kar ji le har saans teri manzil hai jab tak jawaan ye dil hai duniyaa haseen mahfil hai masti mein doob kar ji le har saans teri manzil hai kyaa aitbaar phir ye bahaar aaye naa aaye kal pyaare duniyaa ke saath chal pyaare aise na haath mal pyaare thodi hain chaandni raaten ho mat soch hosh ki baatein khushiyon ki dhoop ke peechhe gham ki lagi hain barsaatein thodi hain chaandni raaten ho mat soch hosh ki baatein khushiyon ki dhoop ke peechhe gham ki lagi hain barsaatein saare usool bilkul fazool tu ganwaa naa ek pal pyaare duniyaa ke saath chal pyaare aise na haath mal pyaare do din bahaar, hans kar guzaar hai ye reet aaj kal pyaare duniyaa ke saath chal pyaare aise na haath mal pyaare aaa aaa