SONG: Duniya Badal Gayi - दुनिया बदल गई

Duniya Badal Gayi - दुनिया बदल गई

LYRICS:
duniya badal gayi, meri duniya badal gayi duniya badal gayi tukde huye jigar ke, chhuri dil pe chal gayi duniya badal gayi duniya badal gayi, meri duniya badal gayi duniya badal gayi aisi chali hawa ke khushi dukh me dhal gayi dil khak ho gaya yeh kisi ko khabar nahi kisi ko khabar nahi dil khak ho gaya yeh kisi ko khabar nahi sab yeh samajh rahe hai, tamanna nikal gayi duniya badal gayi barabad ho gaya meri ummid kaa chaman ummid kaa chaman barabad ho gaya meri ummid kaa chaman jis daal par kiya tha basera woh jal gayi duniya badal gayi duniya badal gayi, meri duniya badal gayi duniya badal gayi