SONG: Duneeya Se Dil Laga Kar Duneeya Se Kya Milega - दुनिया से दिल लगा कर

Duneeya Se Dil Laga Kar Duneeya Se Kya Milega - दुनिया से दिल लगा कर

LYRICS:
duniya se dil laga kar duniya se dil laga kar duniya se kya milega duniya se dil laga kar duniya se kya milega yaad-e-khuda kiye jaa, yaad-e-khuda kiye jaa tujh ko khuda milega, tujh ko khuda milega tujh ko khuda milega, tujh ko khuda milega yaad-e-khuda kiye jaa tujh ko khuda milega yaad-e-khuda kiye jaa daulat ho ya hukumat, taakat ho ya jawaani daulat ho ya hukumat, taakat ho ya jawaani har chij mitne waali, har chij aani-jani har chij mitne waali, har chij aani-jani ye sab gurur ek din ye sab gurur ek din mitti me jaa milega ye sab gurur ek din mitti me jaa milega yaad-e-khuda kiye jaa tujh ko khuda milega yaad-e-khuda kiye jaa aata nahi palat kar gujra hua jamaana aata nahi palat kar gujra hua jamaana kya khwaab kaa bharosa, kya maut kaa thikaana kya khwaab kaa bharosa, kya maut kaa thikaana ye jindagi ganva kar kya faayada milega ye jindagi ganva kar kya faayada milega yaad-e-khuda kiye jaa tujh ko khuda milega yaad-e-khuda kiye jaa takdir jo dikhaaye chupchaap dekhta chal takdir jo dikhaaye chupchaap dekhta chal imaan ke sahaare neki ka raasta chal imaan ke sahaare neki ka raasta chal is raaste pe aake is raaste pe aake har raasta milega is raaste pe aake har raasta milega duniya se dil laga kar duniya se kya milega yaad-e-khuda kiye jaa tujh ko khuda milega yaad-e-khuda kiye jaa