SONG: Do Kaa Chaar - दो का चार

Do Kaa Chaar - दो का चार

LYRICS:
do ka chaar tere liye solah tu zarde ki hichki gulkand ka tola tu meetha paan mai kattha koriya dekha jo tujhko mera dil ye bola tu raaj dulari mai shambhu bhola tu mann mohini mera bairaagi chola tu tez chingari mai charas ka jhola tu meethi roohafza mai barf ka gola udati hai khushboo kimami hota nasha zaafrani main betod dard ki kahaani tu hi toh hai mera malham yunaani do ka chaar tere liye galla tu hi toh allah tu hi mohalla do ka chaar tere liye solah dekha jo tujhko mera dil ye bola.