Diwaali Ki Raat Piyaa Ghar Aane Waale Hain
LYRICS:
diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
sajan ghar aane waale hai
balam ghar aane waale hai -2
jhum-jhum kar diye ki baati
mere dil ko kare ishaaraa -2
jaan ga_i mai aane waalaa
hai teraa saajan pyaaraa -2
diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
sajan ghar aane waale hai
balam ghar aane waale hai
jin galiyo se aaye balamawaa
un galiyo me nain bichhaa_un
qadam-qadam par aashaa_o ke
dip jalaati jaa_un -2
diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
sajan ghar aane waale hai
balam ghar aane waale hai
aaj raat aankho-aankho me
kah dungi sab dil ki baate -2
roz-roz kab aati hai ye
madur milan ki raate -2
diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai
sajan ghar aane waale hai
balam ghar aane waale hai -2