SONG: Diwaali Ki Raat Piyaa Ghar Aane Waale Hain

Diwaali Ki Raat Piyaa Ghar Aane Waale Hain

LYRICS:
diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai sajan ghar aane waale hai balam ghar aane waale hai -2 jhum-jhum kar diye ki baati mere dil ko kare ishaaraa -2 jaan ga_i mai aane waalaa hai teraa saajan pyaaraa -2 diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai sajan ghar aane waale hai balam ghar aane waale hai jin galiyo se aaye balamawaa un galiyo me nain bichhaa_un qadam-qadam par aashaa_o ke dip jalaati jaa_un -2 diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai sajan ghar aane waale hai balam ghar aane waale hai aaj raat aankho-aankho me kah dungi sab dil ki baate -2 roz-roz kab aati hai ye madur milan ki raate -2 diwaali ki raat piyaa ghar aane waale hai sajan ghar aane waale hai balam ghar aane waale hai -2