SONG: Din Raat Badalte Hai, Halat Badalte Hai - दिन रात बदलते हैं हालात बदलते हैं

Din Raat Badalte Hai, Halat Badalte Hai - दिन रात बदलते हैं हालात बदलते हैं

LYRICS:
din raat badalte hain, halaat badalte hain saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain ho din raat badalte hain, halaat badalte hain saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain ho din raat badalte hain kabhi hamesha dhoop rahi na, sada rahi kabhi chhaaw ek jagah par kabhi ruke na waqt ke chalte paanv baske ujadte ujadke baste dekhen kitne gaon are din raat badalte hain, halaat badalte hain saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain ho din raat badalte hain beet hi jaayegi patjhad, phir aayegi hariyaali aaj hai jo daali sooni kal hogi phoolon waali kaun chandaniya ko puchhe jo na ho ratiyaan kaali are din raat badalte hain, halaat badalte hain saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain ho din raat badalte hain ye jeewan ek bahti nadiya, dukh sukh iske rele phool ki aasha karnewaale, pahle kaante le le kya jaane wo khushi ki keemat, jo na dard se khele are din raat badalte hain, halaat badalte hain saath saath mausam ke, phool aur paat badalte hain ho din raat badalte hain