Dil Tu Hi Bata (Dil Ki Pukar) - दिल तू ही बता
LYRICS:
dil tu hi bata kahan tha chhupa
kyun aaj suni teri dhadkan pehli baar
dil tu hi bata kahan tha chhupa
kyun aaj suni teri dhadkan pehli baar
haan dil ne mere sun li tere dil ki pukaar
dil ki pukaar
dil tu hi bata kahan tha chhupa
kyun aaj suni teri dhadkan pehli baar
haan dil ne mere sun li tere dil ki pukaar
dil ki pukaar
duniya jhoothi lagti hai duniya jhoothi lagti hai
sapna sachcha lagta hai chhup ke teri baahon mein
sab kuch achcha lagta hai yeh aisi hawa, aisi laher
jis mein saare beh jaate hain yahaan
beh gayi main keh gayi main jo bhi mujhe kehna tha
beh gayi main keh gayi main jo bhi mujhe kehna tha
haan dil ne mere sun li tere dil ki pukaar
dil ki pukaar dil ki pukaar dil tu hi bata.
baahon mein falak hota hai baahon mein falak hota hai
jannat yeh zameen lagti hai
kya pyaar mein ye hota hai her cheez haseen lagti hai
dil khona hi tha hona hi tha
iss dil pe kisi ka bas hi kab chala
chali main chali haan pyaar ki kali
leke wafa ki sadaaye chali main chali
haan pyaar ki kali leke wafa ki sadaaye
haan dil ne mere sun li tere dil ki pukaar
dil ki pukaar dil ki pukaar
dil tu hi bata kahan tha chhupa
kyun aaj suni teri dhadkan pehli baar
haan dil ne mere sun li tere dil ki pukaar
dil ki pukaar dil ki pukaar