SONG: Dil Se Majbur Ghulamo Ki - दिल से मजबूर गुलामों की ये निकली आवाज़

Dil Se Majbur Ghulamo Ki - दिल से मजबूर गुलामों की ये निकली आवाज़

LYRICS:
dil se majbur gulamo ki ye nikli aawaz khul gaya aaj se insan ki taqdeer ka raaz ek hi sak me khade ho gaye mehmudo ayaz na koi banda raha aur na koi banda nawaz aankho ko ye allah ka jalwa najar aaya raaho me fakiro ko gale aaj lagaya aankho ko ye allah ka jalwa najar aaya raaho me fakiro ko gale aaj lagaya dil jhum utha aaj garibo ka khushi se shikwa hai kisi ka na, na shikayat hai kisi se sab ek huye waah teri shan khudaya raaho me fakiro ko gale aaj lagaya insa ki juba par na raha gham ka satana gunja hai fizao me mohabbat ka tarana manzil ka naya raasta kismat ne dikhaya raaho me fakiro ko gale aaj lagaya aa jaao badal daale ye raftar zamana ab aur chalega na ye dastur purana utho meri duniya ke garibo ko jaga do dilshah ka insaaf kinaro se hila do jis khet ke majduro ko milti nahi roti us khet ke har daane ko tum aag laga do aag laga do, aag laga do, aag laga do